quite over

na tha kuch toh, khuda tha
kuch na hota toh, khuda hota

duboya mujhko, hone ne
na hota main toh kya hota

huaa jab gham se yoon, behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se, to zaanoon par dhara hota

huee muddat ke ‘ghalib’ mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yoon hota to kya hota

quite enough!

Got something to say? Go for it!